Search IDEA SUCCESSFUL

NEET 2021 KA EXAM KAB HONE WALA HAI ?

 

NEET 2021 KA EXAM KAB HONE WALA HAI?

NEET 2021 KA EXAM KAB HONE WALA HAI?


Ek acchi khabar hai !
NEET 2021 ka exam kal hai ðŸ¤£
Hahah ye ek joke tha…😉
Mujhe pata hai iske baad bahot sare aspirants niche comment likhege Sir, aisa majak mat kiya karo.
Mujhe pata hai app sab ko bahot beshabri se intezar hai NEET 2021 ka jiske liye aapne kai salo se mehnat ki, kai ghanto padhai kari, kai raatein nahi soye aur na jane kitni baar practice exam diye.

Aaj is post me mai google me NEET 2021 se related sabse jyada search kiya jane wala question ki akhir kab hoga NEET 2021 ka answer dene wala hun aur itna hi nahi aap bhi iska answer bata sakte hain aakhir kab hoga NEET 2021 aur uske according apni preparation kar sakte hain.

Mai hamesha students/aspirants se kahta hun "Hope for the best and prepare for the worst" kahne ka matlab hai hum hamesha ache ki kamna karen lekin hum humari taiyari aise rakhe ki bure se bure condition ke liye bhi taiyar rahen.

Yani ki NEET 2021 kab hoga? hum umeed karen ki jab hum soch rahen hai yani ki jo expected date hai that is 1st of august 2021 tabhi ho lekin usi ke sath hum khud ko prepare karen jab bhi exam ho hamari preparation me kisi bhi prakar ka disturbance na ho aur kisi bhi prakar se koi kami na ho.

Jab hum kisi exam ki taiyari kar rahe hon to exam date ke bare me janna jaroori hai lekin jab samay hi anichchittao ka chal raha aur jab sab kuch anishit hai to nishit ke bare me sochna sahi nahi hai.

kahne ka matlab hai hum exam kab hoga iski tenson chodkar puri taqat se puri mehnat se padhai karte rahen kyu ki ek chees to nischit hai exam jaroor hoga aur hamri preparation aisi honi chhaiye ki exam jab kabhi bhi ho agar kal ho jaye tab bhi hamari preparation itni awwal ho ki hum usme bhi acha kar jayen.

“Wo kahte hain na Jiyo to har din aise jiyo jaise ki akhiri din ho”

Hame NEET exam ke liye bhi ye bilkul sahi baithta hai, aise padho jaise ki kal hi exam ho.

Sara syllabus complete hona chhaiye kai bar hum full syllabus ka test dekar exam pattern me puri tarah se comfrtable ho  aur har din sone se pahle hum is satisfaction ke sath soyen 
aaj maine mera best diya aur poori taqat se padhai kari hai, aur kal mai isse bhi jyada padhuga ya padhugi.

Chaliye aage badhte hain aur aapko batate hain akhir kab hone wala hai NEET 2021 ka exam.

Ye batane ke pahle mai appko kuch itihas ki baten bata raha hun,😮
Are  wo History wala itihas nahi,☺️  apne NEET exam ke itihas ke bare me, ki pichle kai salo me jab NEET ya uske equivalent koi exam hua hai to unki date me kya similarities hai aur kitne dino ka antar samanya taur par hota hai exam announcement ki date form release ki date ityadi dates me.

To aaiiye sabse pahle baat karte hain NEET exam ke itihas ke bare me.

NEET EXAM ANALYSIS

Sabse pahle mai app logo ke samne ke chota sa analysis rakh raha hun jise aap bahot aasani se samajh sakte hain ki pichle kai saalo me NEET ya AIPMT ne jab bhi exam conduct karaya to kaise karaya.

Hum sabhi jante hain ki "Itihas khud ko dohrata hai " yani ki "History repeats itself", isi baat ko sach mante hue mai aapke samne ye analysis rakh raha hun.

Aur jab hum ise samajh lege to aaj ke haalat ko dekhte hue is conclusion par pahuchna aasan ho jaega ki NEET 2021 ka exam kab hoga.

Sabse pahle mai aap sab ke samne NEET 2016 ka google search result ki image ralh raha hun 


NEET 2016
NEET 2016 exam date



Ye image NEET 2016 ke google search result ki image hai jisme aap clearly dekh sakte hain ki exam ki date kab hai aur agar hum baat karen exam announcement date ki, yani ki jis date par exam ka announcement hua tha to wo usse kuch mahine pahle ka tha.

Aur agar hum baat karen phase 2 ki to phase two ke apply karne ka last date june 25, 2016 tha aur exam date thi 24 july yani ki lagbhag 1 mahine ka  antar. 








NEET 2017

Theek usi prakar se ye jo agli analysis hai ye hai 2017 ki jisme exam form ka announcemnt hua tha 1 february 2017 ko aur form filing ki last date thi 1 march 2017 yani ki 1 mahine ka time duration kewal form filling ke liye. Phir Admit card available hua tha 15 april 2017 ko aur exam conduct hua tha 7 may ko.

Feb me announcement aur may me paper 
Aap dekh sakte hain kitne dino ka difference hai.
Chaliye Aage chalte hain aur baat karte hain NEET 2018 ki 







NEET 2018




Aur agar hum baat karen NEET 2018 ki to bhi hume exacltly waisa hi pattern dekhne ko milta hai yani ki 
yaha par form filling ki last date thi 12 march aur  admit card release hua tha 17 april ko, aur exam conduct hue the 6 may ko.

Yani ki Normal situation me bilkul ek jaisa pattern dekhne ko milega , ek jaisa dates me difference milega aur ek jaisa time duration milega.








NEET 2019
Aur Agli Image jo apake samne hai ye hai NEET 2019 ki,   Isme bhi hum sabhi ko ek jaisa pattern dekhne ko milta hai auar lagbag utna ti time duration exam release date aur exam conduct hone tak me. In sab ke baad aata ahai NEET 2020 jo anischittaao se bhara tha aur aap sab uske gawah hai kin paristhitiyon me exa hua tha.






NEET 2020
NEET 2020 jo pichle sabhi year se sabse different tha to hum uski bat nahi karte hain aur agar hum baki year ki baat karen to hume ye dekhne ko milta hai ki exam conduction me ek time duration lagta hai aisa nahi hai ki ek week(saptah) pahle agencies(jo exam conduct karati hain) ne kaha form filling ki date ye hai aur kuch din me paper ho jaye aisa ho hi nahi sakta.

Ek time lagta hai aur agar hum in pattern ko dekhe to 2 se 3 mahine ka time gap to sabhi year me tha hi, yani ki minimum kuch mahino ka gap to rahega hi sahi.

Aur abhi tak to form filling date bhi announce nahi hui hai to aap khud hi soch sakte hain jab form filling date announce hogi phir uski ek last date hogi phir ek correction ki date hogi phir admit card release ki date hogi aur phir kahi jake exam ki date hogi .

Appko lagta hai gov agencies ye sara kam superman ki tarah kar lege?
Comment box me jaroor batayen aapko kya lagta hai?
 

TECHNICAL ANALYSIS FOR NEET2021

Itni sari aitihasik analysis ke baad ek conclusion par to asani se pahuch ja sakta hai ki exam conduct karana wo bhi NEET jaise exam jaha lagbhag 15 lakh students ne form fill karna hai aasaan kam nahi hai aur turant karana to sambhav hi nahi hai.

Aap jab ye post padh rahe ho aur agar form filling date announce nahi hui ho to aap khud hi soch sakte ho akhir abhi aur kitne din hoge NEET ke liye aur ye aap asani se conclude kar sakte hain kab hoga NEET 2021 ka paper.

NTA agency jo NEET jaise exam ko conduct karati hai wo koi superman nahi hai aur unhe bhi ye sara process karane me time lagega.

Well in sabhi point ke baad aap ye asani se conclusin nikal sakte hain NEET exam kab hoga ya NEET eam ki date postpone hogi ki nahi hogi jaise sawal.

Aur ha comment box me comment karna nahi bhuliyega aapke according NEET kab hoga taki hum sabhi dates ka average nikal payen.🤣

CONCLUSION

Isse fark nahi padta exam kab hoga fark isse padta hai ki jab bhi hoga kya hum taiyar hai exam ke liye?

Bharat jaise desh me jaha sufficient infrastructure nahi hai 2 saal ke baccho ko ek hi college me ek hi sath padhana to exam nahi ho aisa to hoga hi nahi , exam to hoga thoda bahot aage piche hoga lekin hoga jaroor.

Isliye ye sochna band kar den ki exam kab hoga aur ye strong determination se padhna suru kar den jab bhi hoga selection to hamara hi hoga.

Ho sakta hai preparation ke dauran kuch topics aapke weak rah gaye hon ya ho sakta hai jab aap practice paper de rahen ho to kuch topics ka revision nahi ho paya ho , to is time ka upyog karen aur apne sabhi weak topic ko apni strngth bana le aur daily motivation ke liye padhte rahen www.ideasuccessful.com


Previous
Next Post »